how to transfer money from paytm wallet to bank account without any charges

Rate this post

Page Contents

how to transfer money from paytm wallet to bank account without any charges


how to transfer money from paytm wallet to bank account without any charges


hello dosto aap sabhi ka swagat hai mobile tips ke naye article mai aaj hum janenge ki paytm wallet se paise bank mai kaise transfer kartey hai bina kissi charges ke

paytm pehale yani kuch dino pehale wallet to bank transfer ka koi charges nahi tha lekin kuch samay se paytm wallet to bank transfer ke 4% charges cut karta hai yani agar aap paytm wallet se bank mai paise transfer karoge toh 100 Rs transfer karne ke liye aapko 104 Rs ki jarurat padegi



Why Paytm wallet to bank account transfers are chargeable?



paytm ka yeh kehna hai ki jab aap aapke debit ya credit card se aapne paytm wallet mai paise add kartey ho toh paytm ko kuch fees apke bank ko deni padati hai jo ki woh aapse charge nahi karta hai or aapka add money to wallet process free hota hai or jab tak aap apne wallet mai add kiye gaye paise ka use koi goods ya services kharidne ke liye karte ho tab tak apko koi charges nahi lagta aap kissi or ke wallet mai bhi agar paise transfer karoge toh bhi aapko koi charg ya fees nahi deni padege per jab aap paise wallet to bank transfer kartey ho toh, paytm ne jo charges ya fees aapke bank ko de hai aapke paise wallet mai add karne ke waqt woh fees recover karne ke liye paytm wallet to bank transfer ke 4 % fees charg karta hai.


How to transfer money from paytm wallet to bank account free


step 1

paytm wallet se paise bank mai free transfer karne ke liye aapko sabse pehale ek application download karna hoga jo ki paytm ka he ek app hai jiska nam hai paytm business yaha click karke aap usse download kar saktey ho jo ki ek bilkul free app hai app.

step 2

app download honey ke bad aaplo aapke paytm ke account se usme login hona padega jab aap paytm business app mai login ho jaoge toh aapko waha ek barcode milega uss bar code ka ya toh aap screen shot le lo ya usse apne galley mai download karlo or ek bar aap check karlo ki aapne paytm ko bank se link kiya hai ya nahi agar nahi kiya hai toh usse link karlo paytm mai aapko setting mai woh option mil jayega

step 3

step 2 honey ke bad aapko apna paytm open karna hai normal wala or jaise aap paytm se payment karte ho waise aapko paytm se payment karna hai uss barcode ko scan karke, jo aapne galley mai download kiya hai paytm business app se, jaise hi aap payment kar doge uske bad agale 24 hours mai paytm aapka paise aapke bank account mai transfer kar dega without any charges

iss prakar se hum aapne wallet mai jama paisa aapne bank account mai transfer kar saktey hai without any charges.

Thank you ! 😊