Tips to save mobile phone battery in hindi

Rate this post

Page Contents

Tips to save mobile phone battery in hindi

Tips to save mobile phone battery in hindi


Introduction :-

Namaskar dosto aap sabhi ka swagat hai mobile tips ke naye article mai,iss article mai hum kuch tips janenge mobile phone ke battery ke bare mai.jaise ki mobile phone ke battery power ko jyada samay kaise use kare,battery ki life kaise badhaye kuch iss tarah kai tips janane ke liye yeh post puri padhe.

How to save mobile phone battery :-

1.agar aapne apne mobile phone ka Gps Bluetooth wifi and wifi hotspot shuru rakha hai bina kise kam ke toh aapki battery jaldi low hogi,isliye aap jab jarurat hai tabhi inn features ko use kare or jarurat na honey par usse band karna na bhule agar aap iss chiz ko follow karenge toh aapki battery kafi save hogi.

2.agar aap travel kar rahe ho toh apka mobile phone network ko  find karta rahega uss wajah se bhi battery bohot jaldi low ho jati hai isliye agar possible hoga toh long travel kartey samay apna mobile phone band rakhe ka flight mode pai karde.

3.agar apne auto app update on rakha hai toh usske wajah se bhi apki battery jaldi low ho sakti hai kyu ki agar auto app update aise setting apne rakhi hai toh jo koi application ka update ayega play store mai toh apka mobile phone usse turant update karega uss samay aapke mobile phon ka celluar data use hoga or battery jaldi low ho sakti hai isliye aap auto app update band rakhe jab jarurat hai tabhi app update kare

4.keypad tone,key pad touch karne par vibrate hona inn jaise features ko aap band kar dey unn features ki kuch khas jarurat bhi nahi hoti agar aap unn features ko band rakhenge toh aapki kafi bettery save hogi.

5.auto brightness ko band kardo or brightness manually set karo kyu ki jab auto brightness option on rehnta hai toh apke mobile mai jo sensor laga hota hai light detect karne ka woh hamesh on rehta hai or agar woh on hai toh battery use karega hi karega isliye brightness manually set kare battery kafi save hogi.

6.screen time out jyada na rakhe kyo ki kabhi kabhi hum mobile lock karna bhul jatey hai or agar screen time out time jyada hai toh uss samay tak apki screen on rahegi or apki battery use hoti rehegi isliye aap screen time out 15-30 sec ka rakhiye.

7.live wallpaper jaise wall paper na use kare yeh dikhne mai toh acche lagtey hai per aapke mobile phone ki battery bhi use kar lete hai kafi jyada isliye ho sake toh normal se image wala wallpaper use kare.

8.Net data off rakhe agar jarurat nahi hai toh kyu ki woh kafi had tak battery consume karta hai,agar data off nahi kar saktey toh setting mai jake background data off kardijiye unn application ka jo ki aap use nahi kar rahe ho.

9.ok google jaise services jarurat ho toh he use karo kyo ki yeh features aapke mic ko hamesha on rakhta hai kyo ki use aavaj sun kar action karni hoti hai usme kafi battery consume ho jati hai.

10.aap koi bhi branded mobile phone ka charger use kar saktey ho battery charg karne ke liye but aap USB cable apne mobile phone ki he use kare kyo ki sabhi mobile phone ka charger base thoda bohot alag hota hai.

Inn tips ko follow kare aapki battery jarur save hogi or aap apne android mobile phone ko 1 din tak toh aaram se chala paoge.

Agar aapka mobile phone Hang ho raha hai toh niche link ko touch kare or solution paye.



Thank you ! ЁЯШК