what is frp lock in hindi

Rate this post

Page Contents

What is Frp lock in hindi

Factory Reset Protection


Introduction :-


Frp lock (Factory Reset Protection ) Frp lock yeh ek advance security protecion provide karta hai android phone ko jin mobile phone ka android version 5.1 ya usase jyada hai jin mobile phone ka android version 5.1 se pehale ka hai un mobile phone mai yeh advance security feature nahi hai,jab aap apane mobile phone par gmail ka khaata set karate hain to Frp lock svachaalit roop se sakriy hota hai.ek baar Frp sakriy ho jaane par, yah Factory deta reeset ke baad aapko apna gmail id puchega, jab tak ki aap pahale se mobile par set kiye gaye gmail id password enter nahi karoge tab tak aap apne mobile phone ko access nahi kar paoge.


Frp kam kaise karta hai :-


  • Jab hum aapne mobile phone ka factory data reset karte hai toh mobile phone se sabhi file delete ho jati hai yani pura internal storage memory erase ho jati hai.


  • agar aapka mobile phone android version 5.1 se pehale vala hai toh aapko koi problem nahi aayega ,lekin aapka android version 5.1 ya usase jyada hai toh factory data reset ke bad aapko aapna mobile access karne ke liye apna gmail id enter karna hoga jo pehale se uss device mai register hai.


  • yadi apka mobile chori ho jata hai ya aap khud apna pattern lock bhul jate ho toh aap mobile switch off karke volume up down or power key press karke recovery mode se bhi agar apna mobile phone ka factory data reset karoge toh bhi aap aapna mobile access nahi kar paoge without apne register email id password ke bina yahi hota hai Frp lock protection.



ab sawal yeh aata hai ki agar hum apna factory data reset karna chahatey hai or hame apna gmail id ka password nahi pata toh kaise kare ?


  • aap apna gmail id ka password reset karle,gmail id ka password reset karna asan hota hai kyo ki gmail id open karne ke samay hum apna mobile number ya recovery email id dete hai toh uski madat se hum gmail id ka password change kar sakte hai password change karne ke bad aap factory data reset kar saktey hai.


  • ya aap ek naya gmail id bana lijiye ussi mobile phone mai or apna purana wala gmail id uss mobile phone se remove kar dijiye.


  • agar apko naya gmail id nahi banana hai toh aap apna purana wala gmail id uss device se remove kar dijiye uske bad factory data reset kijiye koi problem nahi aayegi.


yadi aap pehale se Factory data reset kar chuke hai or abhi apko apna gmail id ka password ya gmail id yad nahi hai toh kya kare ?


  • yadi aapko aapna gmail id pata hai or password pata nahi hai toh aap google mai jaye or apne gmail id ka password reset kardey, password reset karne ke 24 hrs ke bad apka data register device mai sync hoga uske bad aap woh password enter karke frp lock unlock kar saktey ho.


  • agar aapke ek se jyada gmail id hai or aapko yad nahi aa raha hai ki konsa gmail id uss mobile device mai register hai toh aapko https://www.google.com/android/devicemanager iss link ko open karna hai or or uske bad aap apne sabhi gmail id se ek ek bar karke ispe login kijiye yaha se aapko pata chal jayega ki apke mobile phone mai konse mobile phone mai konsa gmail id register hai.


  • yadi aapko apana gmail id password dono pata nahi hai ya aap bhul gaye hai toh apko apko apne mobile phone ke service center mai jana hoga service center mai apka mobile phone software se flash kiya jayega uske bad aap apna mobile phone use kar paoge .



agar aapko janana hai ki mobile phone ko flash kaise kartey software se,laptop ya computer ki madat se toh niche di gaye link pai click kar or article padhe.



Thank you ! ЁЯШК

 de